Tere khayaal ki

Tere khayaal ki লিরিক্স

ধরনWorld Music
সময়6:39
মূল ভাষাEU
ভিউ227
লিরিক্স স্থানাঙ্ক

মূল লিরিক্স

EU
অনুবাদ এখনো নেই। মূল লিরিক্স দেখানো হচ্ছে।
18
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain -2 Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain Bade itafaak se milte hain milne waale mujhe -2 Woh mere dost hai, teri wafa mein jeete hain Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain Firaaq-e-yaar mein saanson ko rok ke rakhte hain -2 Harek lamha guzarti qaza mein jeete hain Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain Na baat poori huwi thi, ke raat toot gayi -2 Adhure khwaab ki aadhi saza mein jeete hain Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain Tumhaari baaton mein koyi masiha basta hai -2 Haseen labon se barasti shabha mein jeete hain Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain