Khaamosh Sa Afsaana

Khaamosh Sa Afsaana 歌词

时长1:56
原文语言TL
浏览量1.4K
歌词坐标

原文歌词

TL
暂时没有翻译,当前显示原文歌词。
18
Da da da da di da da, da da da da di da da - 4 Khaamosh sa afsaana paani se likha hota - 2 Na tumne kaha hota, na humne suna hota Khaamosh sa afsaana La la la la, la la la la Dil ki baat na poochho, dil to aata rahega - 2 Dil bahekaata raha hai, dil bahekaata rahega Dil ko tumne, oh, kuch samjhaaya hota Khaamosh sa afsaana paani se likha hota Na tumne kaha hota, na humne suna hota Khaamosh sa afsaana Sehme se rehte hai jab yeh din dhalte hai - 2 Ek diya bujhta hai, ek diya jalta hai Tumne koi, oh, deep jalaaya hota Khaamosh sa afsaana paani se likha hota Na tumne kaha hota, na humne suna hota Khaamosh sa afsaana Kitne saahil dhoonde, koi na saamne aaya - 2 Jab majdhaar mein doobe, saahil thaamne aaya Tumne saahil, oh, pehle bichhaaya hota Khaamosh sa afsaana paani se likha hota Na tumne kaha hota, na humne suna hota Khaamosh sa afsaana