Main bhool jaaoon tumhen

Main bhool jaaoon tumhen 歌词

时长4:05
原文语言EO
浏览量239
歌词坐标

原文歌词

EO
暂时没有翻译,当前显示原文歌词。
18
main bhool jaaooN tumhen -2, ab yahi munaasib hai main bhool jaaooN tumhen, ab yahi munaasib hai magar bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN -2 ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin yahaaN to dil kaa ye aalam hai kyaa kahooN, kambaKt bhulaa sakaa naa ye vo silsilaa jo thaa bhi nahin -2 vo ek Khyaal jo aavaaz tak gayaa hi nahin vo ek baat jo main kah nahin sakaa tumse vo ek rabt jo ham mein kabhi rahaa hi nahin mujhe hai yaad vo sab jo kabhi huaa hi nahin agar ye haal hai dil kaa to koi samjhaaye -2 tumhen bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin -3