歌词坐标
TL原文歌词
暂时没有翻译,当前显示原文歌词。
Apne haathon kee lakiron mein basa le mujhko
Main hoon tera to naseeb apna bana le mujhko
Mujhse too poochne aaya hai wafa ke maani
Ye teri saadaa-dili maar na daale mujhko
Khud ko main baant na daaloon kahin daaman-daaman
Kar diya tune agar mere hawaale mujhko
Waada fir waada hai main zehar bhi pee jaaoon 'qateel'
Shart ye hai koi baahon mein sambhaale mujhko








