歌词坐标
MS原文歌词
暂时没有翻译,当前显示原文歌词。
udaas shaam kisi kaab mein dhali to hai
yahi bahut hai ke taaza hawa chali to hai
jo apani shaak se baahar abhi nahin aayi
nayi bahaar ki zaamin wahi kali to hai
dhuvaan to jhuuth nahin bolata kabhi yaaro
hamaare shahar mein basti koyi jali to hai
kisi ke ishq mein ham jaan se gaye lekin
hamaare naam se rasm-e-wafa chali to hai
hazaar band hon dair-o-haram ke darawaaze
mere liye mere mahabuub ki gali to hai





