Zulf Ki Chhaaon Mein

Zulf Ki Chhaaon Mein 歌词

流派Pop
时长5:13
原文语言MI
浏览量359
歌词坐标

原文歌词

MI
暂时没有翻译,当前显示原文歌词。
18
Zulf ki chhaaon mein chehre kaa ujaalaa lekar Teri veeraan si raaton ko sajaayaa hamne Meri raaton mein jalaaye tere jalvon ne charaag Teri raaton ke liye dil ko jalaayaa hamne Ye tere garm se lab, ye tere jalte rukhsaar Dekh hamko ke banaayaa hai inhen dil ka qaraar Kaise angaaron ko seene se lagaayaa hamne Teri raaton ke liye dil ko jalaayaa hamne Ham ne har dil ko sikhaayaa hai dhadakne kaa chalan Deke ulfat ki tadap, deke mohabbat ki jalan Tujhse deevaane ko insaan banaayaa hamne Teri veeraan si raaton ko sajaayaa hamne Seekh le rasm-e-vafaa husn bhi deevaanon se Daastaan apni bhari hai inhi afsaanon se Rakh diyaa sar ko jahaan phir na uthaayaa hamne Teri raaton ke liye dil ko jalaayaa hamne Zulf ki chhaaon mein chehre kaa ujaalaa lekar Teri veeraan si raaton ko sajaayaa hamne Meri raaton mein jalaaye tere jalvon ne charaag Teri raaton ke liye dil ko jalaayaa hamne Teri raaton ke liye dil ko jalaayaa hamne