Ek Pyar Ka Nagma Hai

Ek Pyar Ka Nagma Hai şarkı sözleri

Süre3:55
Orijinal dilİngilizce
Görüntülenme1.4K
Şarkı sözü koordinatları

Orijinal sözler

EN
Çeviri henüz yok. Orijinal sözler gösteriliyor.
18
Mm mm mm mm mm mm, mm mm mm mm, mm mm mm mm Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai Ek pyar ka nagma hai La la la Kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai Do pal ke jeevan se ek umr churaani ha Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai Ek pyar ka nagma hai Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon Tu mera sahaara hai, main tera sahaara hoon Aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai Ek pyar ka nagma hai Toofaan to aana hai, aakar chale jaana hai Baadal hai yeh kuch pal ka, chhaakar dhal jaana hai Parchhaaniyan reh jaati, reh jaati nishaani hai Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai Ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai Zindagi aur kuch bhi nahin Teri meri kahaani hai Ek pyar ka nagma hai