가사 좌표
MS원문 가사
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
Ek woh bhee diwali thee, ek yeh bhee diwali hai
ujada hua gulshan hai, rota huwa maalee hai
baahar toh ujaala hai magar dil me andhera
samajho naa ise raat, yeh hai gham kaa savera
kya dip jalaaye ham takadir hee kaalee hai
ujada hua gulashan hai, rota hua maalee hai
aise naa kabhee dip kisee dil kaa bujha hai
mai toh woh musafir hu jo raaste me luta ho
ai maut too hee aa ja dil teraa sawaalee hai
ujada hua gulashan hai, rota hua maalee hai
ek woh bhee diwali thee, ek yeh bhee diwali hai
ujada hua gulashan hai, rota hua maalee hai




