가사 좌표
TO원문 가사
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
Rafi
Jeet hi lenge baazi hum tum, khel adhura chhute na
Pyaar ka bandhan, janam ka bandhan,
janam ka bandhan toote na
Milta hai jahan dharti se gagan,
aao wahi hum jaaye
Tu mere liye, main tere liye - 2
Is duniya ko thhukraayein - 2
Door basaa le dil ki jannat - 2
Jis ko zamaana loote na
Pyaar ka bandhan, janam ka bandhan,
janam ka bandhan toote na
Lata aa aa...pyaar ka bandhan toote na
Rafi
Milne ki khushi na milne ka ghum,
Lata
khatm ye jhagde ho jaaye
Tu tu na rahe, main main na rahu - 2
Ik duje main kho jaaye - 2
Main bhi na chhodu pal bhar daaman - 2
Tu bhi pal bhar ruthe na
Pyaar ka bandhan, janam ka bandhan,
janam ka bandhan toote na






