가사 좌표
BR원문 가사
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho -2
agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho -2
har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho
hukumatoN ko badalnaa to kuchh muhaal nahin -2
hukumatein jo badaltaa hai vo samaaj bhi ho -2
agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho -2
har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho
rahegi kab talak vaadoN mein qaid Khush-haali -2
har ek baar hi kal kyuN, kabhi to aaj bhi ho
agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho
har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho
na karte shor sharaabaa to aur kyaa karte -2
tumhaare shahar mein kuchh aur kaam kaaj bhi ho -2
har ek ghar mein diyaa bhi jale, anaaj bhi ho
agar na ho kahin aisaa to ehatjaaj bhi ho
Tell A Friend








