가사 좌표
ID원문 가사
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
ek nagma ek taara ek guncha ek jaam
ai gam-e-dauraan gam-e-dauraan tujhe mera salaam
zulf aawaara garebaan chaak ghabaraayi nazar
in dinon ye hai jahaan mein zindagaani ka nizaam
chand taare tuut kar daaman mein mere aa gire
mainne puuchha tha sitaaron se tere gam ka maqaam
pad gayin pairaahan-e-subah-e-chaman par salawatein
yaad aa kar rah gayi hai bekudi ki ek shaam
teri ismat ho ke ho mere hunar ki chaandani
waqt ke baazaar mein har chiz ke lagate h





