가사 좌표
SL원문 가사
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
Dukh ki laher ne chheda hoga
Yaad me kankar pheka hoga
Aaj to mera dil kehta hain,
woh is waqt, akela hoga.
Main to aaj bahut roya hu,
Tu bhi shayad roya hoga.
Mere chume huye haathon se,
aur ko khat likhta hoga.
Mera sathi sam ka tara,
Tujhase aakh milata hoga.
Yaadon ki jalti shabnam se,
phoolon sa mukhra dhoya hoga.
Naasir tera meet purana,
Tujhko yaad to aata hoga.





