Aghosh

Aghosh 가사

장르Rock Roll
원문 언어힌디어
조회수37
가사 좌표

원문 가사

HI
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
18
tootay huway un khwabon kai uss dahektay sooraj tallay falak say jo tapkay na jo umeed kay qatray thay woh talakh ansuwon kay sailaab say bhee jo ho na saki num toh rotee thee woh yeh zameen meri maan thee woh khuda ka wajood mabood thee woh saya thee raushni bhee thee woh qadam tallay jannat meri aghosh thee woh jiss aasray keh liye rooh tarapti thee jiss kee jiss shama ko jala na sakee woh andhaira tha mein yeh gunah-gar haath bheek kee chah mein jo badhain darbadar uss kee soo dar rahi thee woh yeh zameen meri maan thee woh khuda ka wajood mabood thee woh saya thee raushni bhee thee woh qadam tallay jannat meri aghosh thee woh aankh say tapka jo ab yeh lahoo zakham bharnay lagay sar-ba-sajood hoon uss ke hazoor gunah dhulnay lagay darguzar aaj uss maan nay kiya faslay simatnay lagay wahdahoo! uss kee kokh say hoon aik hee nabz, aik wajood yeh zameen meri maan hai yeh khuda ka wajood mabood hai yeh saya thee, raushni bhee hai yeh qadam tallay jannat meri aghosh hai yeh