가사 좌표
FI원문 가사
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
Yun intzaar ka dukh abb saha nahi jaata
tadap rahi hai mohabbat, raha nahin jaata
tum apane paas bula lo bahut udaas hu main
bhatak chuki hu bahut, zindagi ki raaho mein
mujhe abb aake chhupa lo, tum apani baaho mein
mera sawaal na taalo, bahut udaas hu main
har ek saans mein milane ki pyaas palati hai
sulag raha hai badan aur ruh jalati hai
bacha sako to bacha lo, bahut udaas hu main






