가사 좌표
ID원문 가사
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
Dard dil mein utha sochate sochate
yaad kya aa gaya sochate sochate
kaun tha kya tha woh yaad aata nahi
yaad aa jaayega sochate sochate
raah mein rah gayi aanewaali sahar
bujh gaya har diya sochate sochate
ajnabi log hain ajnabi raaste
main kahaan aa gaya sochate sochate
dur ho kar na ham tum kareeb aa sake
badh gaya faasla sochate sochate






