Chale Aana (From "De de Pyaar De" )

Chale Aana (From "De de Pyaar De" ) 가사

장르Pop
원문 언어힌디어
조회수11
가사 좌표

원문 가사

HI
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
18
Judaa hum ho gaye maana Magar yeh jaan lo jaana Judaa hum ho gaye maana Magar yeh jaan lo jaana Kabhi main yaad aaun toh Chale aana, chale aana Tumhe main bhul jaaunga Yeh baatein dil mein na laana Kabhi main yaad aaun toh Chale aana, chale aana Tha kaun mera, ek tu hi tha Saanson se zyada jo zaroori tha Tere liye main kuch nahi lekin Mere liye tu mera sab kuch tha Nahi jaana bhula kar ke Yeh baatein tum hi kehte the Rahi khushiyan nahin meri Ke tum bhi waqt jaise the Tumhara tha rahega bhi Kare kya dil hai deewana Kabhi main yaad aaun toh Chale aana, chale aana Maine tumhari baat maani hai Maine manaya dil ko hai kaise Abse raho tum khush jaha bhi ho Mera tumhara tha bhi kya waise Bhale doori rahe jitni Nigahon se nigahon ki Magar khwabon ki duniya mein Milunga tumse rozana Yahin tak tha safar apna Tumhe hai laut kar jaana Kabhi main yaad aaun toh Chale aana, chale aana Na ra, na ra Chale aana, chale aana