가사 좌표
HI원문 가사
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
khamosh rehne mein dum ghutta hai
aur bolne se zabaan chhilti hai
darr lagta hai nange paaon mujhe
koi kabr paaon tale hilti hai
paresaan hoon zindagi se
kya pataa kab kahaan se, maaregi zindagi
kya pataa kab kahaan se, maaregi zindagi
bas ke main zindagi se darta hoon
bas ke main zindagi se darta hoon
maut ka kya hai
ek baar maaregi
dhool udne lagti hai jab shaam ki
sab kaanch bhar jaate hain gard se
main darta hoon
main darta hoon
dil jab dhadakne se thakne lage
neend aane lagti hai tab dard se
anjaan hoon zindagi se
kya pata kab kahaan se maaregi zindagi
kya pata kab kahaan se maaregi zindagi
bas ke main zindagi se darta hoon
bas ke main zindagi se darta hoon
maut ka kya hai
ek baar maaregi






