가사 좌표
HI원문 가사
번역이 아직 없습니다. 원문 가사를 표시합니다.
Ae do jahaan ke maalik
Sunle meri guzaarish
Mere jigar ke tukde
Ke vaaste yeh khwahish
Woh jahaan bhi jis jagah ho
Tera haath sar pe rakhna
Hardum har ghadi haan
Tu fikar uski karna
Use khairiyat se rakhna
Bas khairiyat se rakhna
Kabhi tez dhoop uska
Badan jala na paaye
Kabhi tez dhoop uska
Badan jala na paaye
Kabhi baarishein bhi usko
Bimaar kar na paaye
Ho lihaaf tan pe uske
Tere haathon se tu dhakna
Usko lage na thokar
Itna karam tu karna
Use khairiyat se rakhna
Bas khairiyat se rakhna






