Duniya Se Dil Lagakar

Duniya Se Dil Lagakar 歌詞

ジャンルWorld Music
時間6:50
原文言語SO
閲覧数463
歌詞座標

原文歌詞

SO
翻訳はまだありません。原文を表示しています。
18
duniya se dil laga kar duniya se kya milega yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega daulat ho ya hukuumat, taaqat ho ya jawani har cheez mitne wali, har cheez aani-jaani ye sab gurur ek din mitti mein ja milega yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega aata nahi palat kar guzra hua zamana kya khwab ka bharosa, kya maut ka thikana ye zindagi ganva kar kya faayada milega yaad-e-khuda kiye jaa, tujh ko khuda milega