Apne Hathon Ki Lakeeron

Testo di Apne Hathon Ki Lakeeron

Durata3:56
Lingua originaleTL
Visualizzazioni88
Coordinate del testo

Testo originale

TL
Traduzione non ancora disponibile. Mostriamo il testo originale.
18
Apne haathon kee lakiron mein basa le mujhko Main hoon tera to naseeb apna bana le mujhko Mujhse too poochne aaya hai wafa ke maani Ye teri saadaa-dili maar na daale mujhko Khud ko main baant na daaloon kahin daaman-daaman Kar diya tune agar mere hawaale mujhko Waada fir waada hai main zehar bhi pee jaaoon 'qateel' Shart ye hai koi baahon mein sambhaale mujhko