Dayaar-E-Dil Ki Raat Mein Charaag Sa

Testo di Dayaar-E-Dil Ki Raat Mein Charaag Sa

GenerePop
Durata8:02
Lingua originaleIndonesiano
Visualizzazioni246
Coordinate del testo

Testo originale

ID
Traduzione non ancora disponibile. Mostriamo il testo originale.
18
dayaar-e-dil ki raat mein charaag sa jala gaya mila nahin to kya hua wo shaql to dikha gaya wo dosti to kair ab nasib-e-dushmanaan huyi wo chhoti chhoti ranjishon ka lutf bhi chala gaya judaayiyon ke zakm dard-e-zindagi ne bhar diye tujhe bhi nind aa gayi mujhe bhi sabr aa gaya pukaarati hain fursatein kahaan gayin wo sohabatein zamin nigal gayi unhein ya aasamaan kha gaya ye subaho ki safediyaan ye dopahar ki zardiyaan ab aayine mein dekhata huun main kahaan chala gaya ye kis kushi ki ret par gamon ko nind aa gayi wo lahar kis taraf gayi ye main kahaan chala gaya gaye dinon ki laash par pade rahoge kab talak alamkasho utho ki aafataab sar pe aa gay