Coordenadas de la letra
SQLetra original
La traducción todavía no está disponible. Mostramos la letra original.
(jaane na nazar pehachaane jigar
ye kaun jo dil par chhaya
(mera ang ang muskaya)) - 2
(aawaaz ye kiski aati hai
jo chhed ke dil ko jaati hai ) - 2
main sun ke jise sharmaa jaaun
hai kaun jo mujh mein samaya
mera ang ang muskaya - 2
jaane na nazar pehachaane jigar
ye kaun jo dil par chhaya
mujhe roz roz tadapaayaa - 2
(dhuudenge use ham taaron mein
saawan ki thandi bahaaron mein) - 2
par ham bhi kisi se kam to nahi
kyon ruup ko apane chhupaya
mujhe roz roz tadapaayaa - 2
jaane na nazar pehachaane jigar
ye kaun jo dil par chhaya
mera ang ang muskaya - 2
(bin dekhe jisko pyaar karun
gar dekhun us ko jaan bhi du) - 2
ek baar kaho o jaadugar
ye kaun saa khel rachaayaa
meraa ang ang muskaayaa - 2
jaane na nazar pehachaane jigar
ye kaun jo dil par chhaya
mera ang ang muskaya - 2






