Coordenadas de la letra
KULetra original
La traducción todavía no está disponible. Mostramos la letra original.
har ek faisala har imtehaan chhod diya - 2
na chaahate huye bhi yeh jahaan chhod diya
har ek faisala har imtehaan chhod diya
har ek faisala.......
jab isame saans bhi lena muhaal hone laga - 2
toh hamane jism ka aakhir makaan chhod diya - 2
na chaahate huye bhi yeh jahaan chhod diya
har ek faisala har imtehaan chhod diya
jami ko gher liya gum mein toh kahaan jaate - 2
khuda ka shukr hai jo aasmaan chhod diya - 2
na chaahate huye bhi yeh jahaan chhod diya
har ek faisala har imtehaan chhod diya
bani jo bhoolbhulaiya hamaari raahgujar - 2
safar hayaat ka phir darmayaan chhod diya - 2
na chaahate huye bhi yeh jahaan chhod diya
har ek faisala har imtehaan chhod diya








