Khuda Bhi Aasmaan Se

كلمات Khuda Bhi Aasmaan Se

النوعWorld Music
المدة4:27
اللغة الأصليةSQ
المشاهدات443
إحداثيات كلمات الأغنية

الكلمات الأصلية

SQ
الترجمة غير متاحة بعد. نعرض الكلمات الأصلية.
18
Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga Khuda bhi aasmaan se Mussbir khud pareshaan hai ke yeh tasveer kiski hai Banogi jisski tum aisi haseen taqdeer kiski hai Kabhi woh jal raha hoga kabhi khush ho raha hoga Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga Khuda bhi aasmaan se Zamaane-bhar ki masti ko nigaahon mein sameta hai Kali se jism ko kitni bahaaron mein lapeta hai Hua tumsa koi pehle na koi doosra hoga Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga Khuda bhi aasmaan se Farishte bhi yahaan raaton ko aa kar ghumte honge Jahaan rakhti ho tum paanv jageh woh chumte honge Kiske dil pe kya guzri yeh wohi jaanta hoga Khuda bhi aasmaan se jab zameen par dekhta hoga Mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga Khuda bhi aasmaan se